рдЧुрд░ुрд╡ाрд░, 18 рдоाрд░्рдЪ 2021

kalamЁЯЦК️

Hun mai Kalam,nahi hun mai Talwar,

Chhoti si hun mai kalam,likhti hun dhardar,
Chalti hun badi tej mai, hun nahi hathiyar,
Piro shabado k tar-tar se, barsati hun mai pyar,
Ban parhari kati hun raksha mai, karti badi khatak prahar,
Nistej kar deti hun,deti mai gahre ghaw, nahi mai aujar,
Takat ka mere koi nahi kar pata anupat,
Vishwas hai gair tumhe to ban jati mai bajarpat,
Chal sakta hai to chal, hanth pakad tu mere sath,
Yakin rakh,rach dalu aaj mai itihaas,
Rakhti hu aadhar mai,badal dun teri taqdir,
Kar dun chamatkar mai,ban jaun teri pukar mai,
Jidhar bhi jau mai parcham tera laharau,
Pal pal de sath tera ,har ardchan ko mai mitau,
Ban jau mai tera sathi,tera dost aur tera yaar,
Khushiya bhi lau, duriya bhi mitau,jiwan me bhar du pyar aur bahar,
Ban jaun main Pawan,upvan,unche pahad aur gagan,
Har ak aasha me jaan bhar dun,
Sourya, taramandal dun nabh me teri pahchan,
Mai Kalam, mujhe chhoti na maan,
Taqat ka mere tujhko,ab tk nahi hai bhan,
Kar jau mai kamal,bna dun tujhe bemishaal,
Vande apne hantho me tu thaam,kar du mai tera naam.

corona kaal

Insaan ki halat to dekho,
Kar raha fariyad wo,
Pujte the jise Mandir,Masjid,Gurudwara aur Girijaghar,
Narajgi to dekho unki,kitni padi hai bhari,
Jard diya tala,nikal kar teri phool aur mala,
Dhoop, agarbatti,diya aur mombati,
Jal rahe hr ak ghar-aangan,
Kar rahe hanth jord bhagwan se fariyad,
Biswa ki rachna krne wale,
Har kashat ko harne wale,
Kuchh to karo samadhan,aankhe kholo he bhagwan!
Uthal puthal ko ab  to thamo,
Nadaniya hmari ab to jano,
Kar do har samaya ka nidan!
Tumhe hmara sat sat pranam ЁЯЩП.

Aaj ka insaan

Mai aaj ka Insaan hun 

Kartwyo se anjaan hun.

Abhiman se bhara hun,

Nahi jhukne ka hai gyan.

Rahta aanjaan hun,

Bna hun apno mai hi mehmaan.


Musqilo se bhara huaa,

Jidd pe mai arda huaa.

Akele hi mai khada huaa,

Jane q hi mai bada huaa.


Mai aaj ka Insaan hun,

Bhagwan se aanjan hun,

Shakti aur sadhna ,krta nahi koi aradhna,

Vyasanse ghira hun mai.

Jane q nhi manta,

Bhotikta me pada huaa,

Naitikta ka nhi koi vasta,

Vigaan ka hai gyan,

Kisi Alokikta ko nhi pahchanta,

Mai aaj ka Insaan hun.


~Rashmi Ranjan

Ladli LaxmiЁЯСй‍ЁЯж░

Babul ke ghar me kitni hai khushhal ye uski muskan batata hai,

Chale jb be fikr wo chal ,to samaj ka hal batata hai,

Sapno me bhar de jo jaan,udne ko de asman,Peeta ki shan batata hai,

Bhai ka milta dular ye uska abhiman batata hai,

Bahan ka pyar ,ye uska adhikar batata hai,

Bhabhi se milega kaisa samman ye uska vyavahar batata hai,

Kaat jb apna bachpan jaati biyah dooje aangan,

Doli jb uthhe,kaisa hai nya parivar , kitna milega pyar,ye uska sasural batata hai,

Bahu ki kitni shan,aur hai kitna maan,

Mayke me mile pahchan batata hai,

Pati se kaisa nata,ye uska chamkta chehra dikhata hai,

Saas ki kitni pyari, uska  juda hai kitna nata samjhdari ko dikhata hai,

Sasur ki kitni dulari,ye uska gujra nhi bachapan batata hai,

Sasural ki sampannta ye uska aangan darshata hai,

Rishton ko tutne na de ,baandhe jis bandhan se ye uski maa se mila gyaan darshata hai,

Bhara pura rahe dono aangan ,badhta rahe..... ,Falta rahe......,

Ye uska karm aur poojan batata hai.

Ladki ka kya hai taal yahi pura jivan batata hai.


~Rashmi Ranjan

Guide: рджुрдмрдИ-рдЦाрдб़ी рдХी рдл्рд▓ाрдЗрдЯ्рд╕ рд╣ुрдИ рдХैंрд╕िрд▓? рдШрд░ рдмैрдаे рдРрд╕े рдкाрдПं 'рдлुрд▓ рд░िрдлंрдб' рдФрд░ рдл्рд░ी рд░ी-рдмुрдХिंрдЧ; рдпे рд╣ै рдЖрд╕ाрди рддрд░ीрдХा

  Guide: рджुрдмрдИ-рдЦाрдб़ी рдХी рдл्рд▓ाрдЗрдЯ्рд╕ рд╣ुрдИ рдХैंрд╕िрд▓? рдШрд░ рдмैрдаे рдРрд╕े рдкाрдПं 'рдлुрд▓ рд░िрдлंрдб' рдФрд░ рдл्рд░ी рд░ी-рдмुрдХिंрдЧ; рдпे рд╣ै рдЖрд╕ाрди рддрд░ीрдХा         AI IMAGE FOR CA...